Jul
5
Kuch pal
Filed Under Uncategorized | Leave a Comment
Tumne jo mujhe kuch pal diye
Who pal meri zindagi ban gaye hai,
Log kahte hai paraye ho tum
Par ab paraye bhi apne lagne lage hai.
Taaron ke beech tumhare pyaar ko timtimaate paaya,
Khile dhoop main tumhare saaye ko bahoon main bhara,
Saawan ki boodon main tumhara checra dekha,
Thandi hawa ke jhonke ne tumhara ahsas karaya.
Tumne jo mujhe kuch ahsas diye
Who ahsas ab meri zindagi ban gaye hain.
Log kahte hai soch-samajh ke kadam uthana
Par ab ye kadam bahekne lage hain.
Koyal ki mithi kook tumhari yaad dilate hai,
Bhavrae aur kali ke chahat ab samaj main aati hai.
Baadalon ko dekh ke jab moor machalta hain,
Mera idhlata mann bhi tab kai sapne bunta hai.
Tumne jo mujhe kuch sapne diye
Who sapne ab merii zindagi ban gaye hain.
Log kahte hain asson milte hain pyar main
Par ab ye ason bhi khushi dene lage hain.
Waadon ko kale motiyon main piroke,
Baandh lo mujhe apne bandhan main.
Lambi dagar main akele chalna mushkil hain,
Humrahi bana ke saath le lo hume.
Tumne jo mujhe kuch armaan diye,
Who armaan ab meri zindagi ban gaye hain,
Log kahte hain kayi rang hain mohabbat ke
Aura b ye rang meri maang main saj gaye hain.
Jul
4
सपने
Filed Under Uncategorized | Leave a Comment
कुछ सपनों को जो पंख दिए,
वो खुले आसमान में उड़ने लगे,
बादलों की छांव मिले,
तो कभी तारों की महफिल सजी।
नरम-नरम हवा के पालनों में पलने लगे,
कोरे-कोरे ये सपने रंगों से खेलने लगे,
सुनहरी धूप की धागों से एक नया जहाँ बुनते हुए,
बिखरे-बिखरे यह सपने अपने-आप में ही सिमटने लगे।
लम्बी-लम्बी राहों पर नन्हें-नन्हें कुछ कदम,
मासूम यह सपने मंज़िल की तलाश में चल पड़े.
दीपक की लौ में सूरज की रोशनी नहीं मिली,
तो थककर यह सपने उसी लौ में जलने लगे।
वक्त आगे निकल गया, सपने पीछे छूट गए,
कुछ ठहर गए, कुछ टूट गए, कुछ खुद पर ही हंसने लगे,
ज़िन्दगी के दांव में, खुद ज़िन्दगी को हार के,
अब इन अधूरे सपनो के सौदे होने लगे।
चलते-चलते खो गये, अपनी ही धड़कन से दूर हो गए,
पीछे मुड़े तो दिखा कहानी बनके बिकता अपना ही चहरा,
फिर भी रुका नहीं सांसों और धड़कनों का यह सुस्त कारवां
क्यूंकि टिमटिमा रहा था अभी भी एक सपना सितारा बन के।
May
23
Mujhe talash hai…
Filed Under Uncategorized | 3 Comments
Muhje talash hai ….
Un bahaaron ki jinhe kabhi patjhad ne cheena tha.
Muhje talash hai,
Un boondoin ki jinse kabhi mera dil bheega tha.Mujhe talash hai,
Un raaton ki jinme kabhi dil machalta tha.
Mujhe talash hai,
Zindagi ki……
Mujhe talash hai,
Un galiyon ki jinme kabhi bachpan basta tha.
Mujhe talash hai,
Un jhoolon ki jinme kabhi pyar palta tha.
Mujhe talash hai,
Un jharokhon ki jinse kabhi daman aakash batorta tha.
Mujhe talash hai,Zindagi ki…..
Mujhe talash hai,
Un kahaniyon ki jinme kabhi pariyan hasti thi.
Mujhe talash hai,
Un loriyon ki jinme kabhi mamta jhalakhti thi.
Mujhe talash hai,
Un shabdon ki jinme kabhi aashiyan khanakti thi.
Mujhe talash hai,
Zindagi ki…..
Mujhe talash hai,
Un lamhon ki jo kabhi mere apne thay
Muhje talash hai,
Un motiyaon ki jo kabhi aansu banke dhalke thay.
Mujhe talash hai,
Un saayon ki jo kabhi andhere main bhi saath chalet thay.
Mujhe talash hai,
Zindagi ki……
